jo ḳhaas bande haiñ vo banda-e-avām nahīñ
hazār baar jo yūsuf bike ġhulām nahīñ
bhalā ho kyā dil-e-zāhid meñ soz-e-ulfat-e-haq
kabhī jalāne ke qābil charāġh-e-ḳhām nahīñ
gilā hai chashm-e-suḳhan-go se ḳhāmushī kā hameñ
dahan ke hone na hone meñ kuchh kalām nahīñ
tū āftāb hai zulf-e-siyah nahīñ to na ho
charāġh-e-roz ko kuchh ehtiyāj-e-shām nahīñ
'azīz āshiq-e-gumnām kā hai dil us ko
nagīñ vo haath meñ rakhtā hai jis meñ naam nahīñ
bas ek haath meñ do ho ke paḌh dogānā-e-ishq
jo be-namāz hai vo qābil-e-salām nahīñ
ye sar jhukānā ye muñh phernā hai māne'-e-dīd
mirī namāz meñ sajda nahīñ salām nahīñ
vo mujh pe marne lagī jo hai mere darpai-e-qatl
ilāhī is ke sivā aur intiqām nahīñ
firāq-e-yār meñ dast-e-subū uḌāte haiñ ḳhaak
ye gard-bād hai gardish meñ apnā jaam nahīñ
na hañs rulā.egā tujh ko ḳhumār-e-bāda-e-aish
mai-nashāt to is bazm meñ mudām nahīñ
phañse na qaid-e-ta'alluq meñ jo ki hai āzād
chaman meñ tā.ir-e-nik.hat asīr-e-dām nahīñ
vo dil ho chaak nahīñ 'ishq kā nishāñ jis meñ
nagīñ vo TuuTe mohabbat kā jis meñ naam nahīñ
rahegā hijr kā din kab kaTe agar shab-e-vasl
mudām roz-e-qayāmat ko bhī qayām nahīñ
bane jo baal kā phandā tumhārī teġh kā baal
to murġh-e-jāñ ke liye behtar is se daam nahīñ
mai-e-do-ātisha-e-kufr-o-dīñ se ḳhalq hai mast
magar sharāb ye ham-mashrabo harām nahīñ
pukārā apnā gadā kah ke mujh ko ai shah-e-husn
faqīr huuñ tire dar kā 'vazīr' naam nahīñ
jo KHas bande hain wo banda-e-awam nahin
hazar bar jo yusuf bike ghulam nahin
bhala ho kya dil-e-zahid mein soz-e-ulfat-e-haq
kabhi jalane ke qabil charagh-e-KHam nahin
gila hai chashm-e-suKHan-go se KHamushi ka hamein
dahan ke hone na hone mein kuchh kalam nahin
tu aaftab hai zulf-e-siyah nahin to na ho
charagh-e-roz ko kuchh ehtiyaj-e-sham nahin
'aziz aashiq-e-gumnam ka hai dil us ko
nagin wo hath mein rakhta hai jis mein nam nahin
bas ek hath mein do ho ke paDh dogana-e-ishq
jo be-namaz hai wo qabil-e-salam nahin
ye sar jhukana ye munh pherna hai mane'-e-did
meri namaz mein sajda nahin salam nahin
wo mujh pe marne lagi jo hai mere darpai-e-qatl
ilahi is ke siwa aur intiqam nahin
firaq-e-yar mein dast-e-subu uDate hain KHak
ye gard-baad hai gardish mein apna jam nahin
na hans rulaega tujh ko KHumar-e-baada-e-aish
mai-nashat to is bazm mein mudam nahin
phanse na qaid-e-ta'alluq mein jo ki hai aazad
chaman mein tair-e-nikhat asir-e-dam nahin
wo dil ho chaak nahin 'ishq ka nishan jis mein
nagin wo TuTe mohabbat ka jis mein nam nahin
rahega hijr ka din kab kaTe agar shab-e-wasl
mudam roz-e-qayamat ko bhi qayam nahin
bane jo baal ka phanda tumhaari tegh ka baal
to murgh-e-jaan ke liye behtar is se dam nahin
mai-e-do-atisha-e-kufr-o-din se KHalq hai mast
magar sharab ye ham-mashrabo haram nahin
pukara apna gada kah ke mujh ko ai shah-e-husn
faqir hun tere dar ka 'wazir' nam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.