jo KHalaon mein chamakte hain ujale le kar
jo ḳhalāoñ meñ chamakte haiñ ujāle le kar
tere hī dar se vo lauTe haiñ ziyā le le kar
sang-rezoñ se milī ābla-pā.ī jis ko
kis ko dikhlā.e kahāñ jaa.e vo chhāle le kar
kal kisī baat pe bhaa.ī se bahas kar baiThā
log aa.e haiñ namakdāñ meñ davā le le kar
ḳhaak chhāne hai koī kū-e-adālat kī miyāñ
darjanoñ sar pe subūtoñ ke havāle le kar
ho ke be-ḳhauf sitam-karda havāoñ se hanūz
koī pahuñchā hai añdheroñ meñ ujāle le kar
ruk mire dil zarā taftīsh to karne de mujhe
kaise aa.ī hai ḳhizāñ rang nirāle le kar
aaj phir jaan luTā degā koī parvāna
sham.a raushan jo huī maut ke bhāle le kar
jo KHalaon mein chamakte hain ujale le kar
tere hi dar se wo lauTe hain ziya le le kar
sang-rezon se mili aabla-pai jis ko
kis ko dikhlae kahan jae wo chhaale le kar
kal kisi baat pe bhai se bahas kar baiTha
log aae hain namakdan mein dawa le le kar
KHak chhane hai koi ku-e-adalat ki miyan
darjanon sar pe subuton ke hawale le kar
ho ke be-KHauf sitam-karda hawaon se hanuz
koi pahuncha hai andheron mein ujale le kar
ruk mere dil zara taftish to karne de mujhe
kaise aai hai KHizan rang nirale le kar
aaj phir jaan luTa dega koi parwana
shama raushan jo hui maut ke bhaale le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.