jo KHud na apne irade se bad-guman hota
jo ḳhud na apne irāde se bad-gumāñ hotā
qadam uThāte hī manzil pe kārvāñ hotā
ye lutf un ke taġhāful meñ phir kahāñ hotā
jo ik latīf tabassum na darmiyāñ hotā
khile haiñ phuul jo aise meñ tum chale aate
ye ehtimām-e-bahārāñ na rā.egāñ hotā
dimāġh arsh pe hai jis kī dhun meñ vo sajda
mire nasīb meñ hotā to maiñ kahāñ hotā
samajh to ye ki na samjhe ḳhud apnā rang-e-junūñ
mizāj ye ki zamāna mizāj-dāñ hotā
bharī bahār ke din haiñ ḳhayāl aa hī gayā
ujaḌ na jaatā to phūloñ meñ āshiyāñ hotā
hasīn qadmoñ se lipTī huī kashish thī jahāñ
vahīñ thā dil bhī 'razā' aur dil kahāñ hotā
jo KHud na apne irade se bad-guman hota
qadam uThate hi manzil pe karwan hota
ye lutf un ke taghaful mein phir kahan hota
jo ek latif tabassum na darmiyan hota
khile hain phul jo aise mein tum chale aate
ye ehtimam-e-bahaaran na raegan hota
dimagh arsh pe hai jis ki dhun mein wo sajda
mere nasib mein hota to main kahan hota
samajh to ye ki na samjhe KHud apna rang-e-junun
mizaj ye ki zamana mizaj-dan hota
bhari bahaar ke din hain KHayal aa hi gaya
ujaD na jata to phulon mein aashiyan hota
hasin qadmon se lipTi hui kashish thi jahan
wahin tha dil bhi 'raza' aur dil kahan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.