jo KHud pe baiThe biThae zawal le aae
jo ḳhud pe baiThe biThā.e zavāl le aa.e
kahāñ se ham bhī likhā kar kamāl le aa.e
kivāḌ kholeñ to uḌ jā.eñgī abābīleñ
na jaane zehn meñ kaisā ḳhayāl le aa.e
har ek shaḳhs samajh kar bhī ho gayā ḳhāmosh
azal se chehre pe ham vo savāl le aa.e
haiñ raakh raakh magar aaj tak nahīñ bikhre
kaho havā se hamārī misāl le aa.e
sulagtī bujhtī huī zindagī kī ye sauġhāt
'shamīm' apne liye māh-o-sāl le aa.e
jo KHud pe baiThe biThae zawal le aae
kahan se hum bhi likha kar kamal le aae
kiwaD kholen to uD jaengi ababilen
na jaane zehn mein kaisa KHayal le aae
har ek shaKHs samajh kar bhi ho gaya KHamosh
azal se chehre pe hum wo sawal le aae
hain rakh rakh magar aaj tak nahin bikhre
kaho hawa se hamari misal le aae
sulagti bujhti hui zindagi ki ye saughat
'shamim' apne liye mah-o-sal le aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.