jo KHun roti hai aankhen sara manzar chiKH uThta hai
jo KHun roti hai aankhen sara manzar chiKH uThta hai
Arpit Sharma Arpit
MORE BYArpit Sharma Arpit
jo ḳhuuñ rotī hai āñkheñ saarā manzar chīḳh uThtā hai
bichhaḌ kar mujh se koī mere andar chīḳh uThtā hai
kyā us kā dard hai kyā ġham hai koī us se pūchhe to
ek aisā shaḳhs hai rātoñ ko uTh kar chīḳh uThtā hai
use hai ḳhuub dard-e-dil kī gahrā.ī kā andāza
ye aañsū dekh kar merā samundar chīḳh uThtā hai
bharī duniyā meñ tanhā be-sahārā dekh kar ḳhud ko
koī ma.asūm rotā hai to patthar chīḳh uThtā hai
tere hone se dīvālī hai mere ghar meñ har ik din
har ik pal tere jaane kā jo ye Dar chīḳh uThtā hai
kisī pal bhī nahīñ rahtā tirī ḳhushbū se ye ḳhālī
nahīñ hotā hai tū ghar meñ to ye ghar chīḳh uThtā hai
tū apne saath jab se le gayā tasvīr bhī apnī
dar-o-dīvār rote haiñ ye bistar chīḳh uThtā hai
judā ho kar bhī inshā kī mohabbat us ke dil meñ hai
kisī par zulm hotā hai qalandar chīḳh uThtā hai
terī yādoñ kī ye bād-e-sabā jab ḳhuun rotī hai
mirā vahm-o-gumāñ aur dil kā khanDar chīḳh uThtā hai
jahāñ hote ho tum dekho gulābī shaam hotī hai
tumhārā zikr hote hī november chīḳh uThtā hai
kisī se bhī koī shikva nahīñ 'arpit' mujhe phir bhī
mere dil kā ye sannāTā bhī aksar chīḳh uThtā hai
jo KHun roti hai aankhen sara manzar chiKH uThta hai
bichhaD kar mujh se koi mere andar chiKH uThta hai
kya us ka dard hai kya gham hai koi us se puchhe to
ek aisa shaKHs hai raaton ko uTh kar chiKH uThta hai
use hai KHub dard-e-dil ki gahrai ka andaza
ye aansu dekh kar mera samundar chiKH uThta hai
bhari duniya mein tanha be-sahaara dekh kar KHud ko
koi masum rota hai to patthar chiKH uThta hai
tere hone se diwali hai mere ghar mein har ek din
har ek pal tere jaane ka jo ye Dar chiKH uThta hai
kisi pal bhi nahin rahta teri KHushbu se ye KHali
nahin hota hai tu ghar mein to ye ghar chiKH uThta hai
tu apne sath jab se le gaya taswir bhi apni
dar-o-diwar rote hain ye bistar chiKH uThta hai
juda ho kar bhi insha ki mohabbat us ke dil mein hai
kisi par zulm hota hai qalandar chiKH uThta hai
teri yaadon ki ye baad-e-saba jab KHun roti hai
mera wahm-o-guman aur dil ka khanDar chiKH uThta hai
jahan hote ho tum dekho gulabi sham hoti hai
tumhaara zikr hote hi nowember chiKH uThta hai
kisi se bhi koi shikwa nahin 'arpit' mujhe phir bhi
mere dil ka ye sannaTa bhi aksar chiKH uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.