jo kisi moD par Thahar jaun
jo kisī moḌ par Thahar jā.ūñ
rāsta pūchhegā kidhar jā.ūñ
sāmne frosT kā hai dorāhā
maiñ idhar jā.ūñ yā udhar jā.ūñ
rāsta de rahā hai aaj falak
sochtā huuñ ki apne ghar jā.ūñ
qafas-e-be-fasīl hai yā'nī
shahr hī shahr hai jidhar jā.ūñ
zard pattoñ kā qāfila huuñ maiñ
kab bahār aa.e kab bikhar jā.ūñ
shakl-e-mā'dūm par nigāh-e-vujūd
aaj manzūr hai ki kar jā.ūñ
ye mirā 'aks hai ki ye maiñ huuñ
toḌ kar aa.ina na Dar jā.ūñ
yaad kā be-kanār dariyā hai
kashtī-e-vaqt se utar jā.ūñ
maiñ tirī yaad meñ jo jiitā huuñ
bhuul saktā nahīñ ki mar jā.ūñ
jāntā huuñ ki ḳhvāb hai 'asrār'
is haqīqat se be-ḳhabar jā.ūñ
jo kisi moD par Thahar jaun
rasta puchhega kidhar jaun
samne frosT ka hai doraha
main idhar jaun ya udhar jaun
rasta de raha hai aaj falak
sochta hun ki apne ghar jaun
qafas-e-be-fasil hai ya'ni
shahr hi shahr hai jidhar jaun
zard patton ka qafila hun main
kab bahaar aae kab bikhar jaun
shakl-e-ma'dum par nigah-e-wujud
aaj manzur hai ki kar jaun
ye mera 'aks hai ki ye main hun
toD kar aaina na Dar jaun
yaad ka be-kanar dariya hai
kashti-e-waqt se utar jaun
main teri yaad mein jo jita hun
bhul sakta nahin ki mar jaun
jaanta hun ki KHwab hai 'asrar'
is haqiqat se be-KHabar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.