jo kisi par na hua ho wo sitam ho to kaho
jo kisī par na huā ho vo sitam ho to kaho
ab nirālā koī afsāna-e-ġham ho to kaho
rahnumā jab na mirā naqsh-e-qadam ho to kaho
merī raftār kahīñ raah meñ kam ho to kaho
sharh-e-andoh-e-mohabbat pe tabassum kaisā
ye koī zāviya-e-lutf-o-karam ho to kaho
har jafā ġham hai mire zarf kī pahnā.ī meñ
mere hoñToñ pe kabhī zikr-e-sitam ho to kaho
maiñ ne har zaḳhm-e-bahārāñ ko chhupā rakkhā hai
mujh se majrūh gulistāñ kā bharam ho to kaho
un kī taḳhlīq alag aur mirī fikr judā
un kā merā koī andāz baham ho to kaho
likh rahā hai koī pur-kaif ġhazal aaj 'nasīr'
bad-numā lafz koī zer-e-qalam ho to kaho
jo kisi par na hua ho wo sitam ho to kaho
ab nirala koi afsana-e-gham ho to kaho
rahnuma jab na mera naqsh-e-qadam ho to kaho
meri raftar kahin rah mein kam ho to kaho
sharh-e-andoh-e-mohabbat pe tabassum kaisa
ye koi zawiya-e-lutf-o-karam ho to kaho
har jafa gham hai mere zarf ki pahnai mein
mere honTon pe kabhi zikr-e-sitam ho to kaho
main ne har zaKHm-e-bahaaran ko chhupa rakkha hai
mujh se majruh gulistan ka bharam ho to kaho
un ki taKHliq alag aur meri fikr juda
un ka mera koi andaz baham ho to kaho
likh raha hai koi pur-kaif ghazal aaj 'nasir'
bad-numa lafz koi zer-e-qalam ho to kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.