jo koi dar pe tere baiThe hain
jo koī dar pe tire baiThe haiñ
donoñ aalam se phire baiThe haiñ
juuñ nam-e-ashk tū kis se hai ḳhafā
yaañ koī pal meñ gire baiThe haiñ
dard-e-dil kyūñ-ki kahūñ maiñ us se
har taraf log ghire baiThe haiñ
koī aayā hī na bhūlā ham to
kab se raste ke sire baiThe haiñ
garm kar de tū Tuk āġhosh meñ aa
maare jaaḌe ke Thire baiThe haiñ
qulzum-e-ishq kā ulTā hai tarīq
yaañ jo Duube so tire baiThe haiñ
kis ko duuñ dosh tirī majlis meñ
apne mushfiq hī nire baiThe haiñ
ham to 'qā.em' na Thaharte yak-dam
lek yaañ dil ke ghire baiThe haiñ
jo koi dar pe tere baiThe hain
donon aalam se phire baiThe hain
jun nam-e-ashk tu kis se hai KHafa
yan koi pal mein gire baiThe hain
dard-e-dil kyun-ki kahun main us se
har taraf log ghire baiThe hain
koi aaya hi na bhula hum to
kab se raste ke sire baiThe hain
garm kar de tu Tuk aaghosh mein aa
mare jaDe ke Thire baiThe hain
qulzum-e-ishq ka ulTa hai tariq
yan jo Dube so tere baiThe hain
kis ko dun dosh teri majlis mein
apne mushfiq hi nire baiThe hain
hum to 'qaem' na Thaharte yak-dam
lek yan dil ke ghire baiThe hain
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.