jo kuchh bhi aap kahte hain wo Thik hi to hai
jo kuchh bhī aap kahte haiñ vo Thiik hī to hai
taskīn-e-ārzū kī talab bhiik hī to hai
jab chhīn lī ga.ī mirī āñkhoñ se raushnī
duniyā mirī nigāh meñ tārīk hī to hai
fasl-e-ḳhizāñ burī sahī itnī burī nahīñ
ye āmad-e-bahār kī tahrīk hī to hai
ghabrā rahā hai dil to ta.ajjub kī baat kyā
manzil shu.ūr-e-dard kī nazdīk hī to hai
ishq-o-havas meñ farq na karnā kabhī kabhī
jazbāt-e-dil kī dostoñ taz.hīk hī to hai
apnā samajh ke maiñ ne sunāyā thā hāl-e-dil
tum ne bhī saath chhoḌ diyā Thiik hī to hai
is rabt-e-nā-tamām se kuchh fā.eda na thā
'nayyar' kahānī ḳhatm huī Thiik hī to hai
jo kuchh bhi aap kahte hain wo Thik hi to hai
taskin-e-arzu ki talab bhik hi to hai
jab chhin li gai meri aankhon se raushni
duniya meri nigah mein tarik hi to hai
fasl-e-KHizan buri sahi itni buri nahin
ye aamad-e-bahaar ki tahrik hi to hai
ghabra raha hai dil to tajjub ki baat kya
manzil shuur-e-dard ki nazdik hi to hai
ishq-o-hawas mein farq na karna kabhi kabhi
jazbaat-e-dil ki doston tazhik hi to hai
apna samajh ke main ne sunaya tha haal-e-dil
tum ne bhi sath chhoD diya Thik hi to hai
is rabt-e-na-tamam se kuchh faeda na tha
'nayyar' kahani KHatm hui Thik hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.