jo kuchh bhi mere pas thi daulat nigal gai
jo kuchh bhī mere paas thī daulat nigal ga.ī
merī anā ko terī mohabbat nigal ga.ī
tasvīr kah rahī thī musavvir kī dāstāñ
manzar-kashī ko aañkh kī hairat nigal ga.ī
hisse meñ mere aa.ī hamesha shab-e-firāq
har lamha-e-nashāt ko zulmat nigal ga.ī
maiñ ne jalā.ī aag adū ke liye magar
merā vajūd aag kī hiddat nigal ga.ī
maiñ bad nahīñ huuñ bas yūñhī badnām ho gayā
kirdār merā jehl kī tohmat nigal ga.ī
kal aa.ine meñ ḳhud ko maiñ be-shakl kyuuñ lagā
kyā gardish-e-jahāñ mirī sūrat nigal ga.ī
īmān apne hāthoñ meñ mahfūz thā kahāñ
jo bach gayā thā us ko bhī bid.at nigal ga.ī
ġhurbat ne mere shahr kā naqsha badal diyā
ġhairat ko zinda rahne kī chāhat nigal ga.ī
ab fann-e-shā.irī meñ taġhazzul kahāñ bachā
ya.anī ġhazal ke husn ko jiddat nigal ga.ī
jo kuchh bhi mere pas thi daulat nigal gai
meri ana ko teri mohabbat nigal gai
taswir kah rahi thi musawwir ki dastan
manzar-kashi ko aankh ki hairat nigal gai
hisse mein mere aai hamesha shab-e-firaq
har lamha-e-nashat ko zulmat nigal gai
main ne jalai aag adu ke liye magar
mera wajud aag ki hiddat nigal gai
main bad nahin hun bas yunhi badnam ho gaya
kirdar mera jehl ki tohmat nigal gai
kal aaine mein KHud ko main be-shakl kyun laga
kya gardish-e-jahan meri surat nigal gai
iman apne hathon mein mahfuz tha kahan
jo bach gaya tha us ko bhi bidat nigal gai
ghurbat ne mere shahr ka naqsha badal diya
ghairat ko zinda rahne ki chahat nigal gai
ab fann-e-shairi mein taghazzul kahan bacha
yani ghazal ke husn ko jiddat nigal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.