jo kuchh hai chhupi dil mein jo zehn ke andar hai
jo kuchh hai chhupi dil mein jo zehn ke andar hai
Mohammad Ali Shadan
MORE BYMohammad Ali Shadan
jo kuchh hai chhupī dil meñ jo zehn ke andar hai
vo baat bahar-sūrat chehre se ujāgar hai
patthar kī tarah jumle mat pheñk mirī jānib
bosīda bahut mere ehsās kī chādar hai
lāzim hai pahan rakkheñ ḳhud apnī hifāzat ko
talvār ta.assub kī laTkī huī sar par hai
vo mujh se ḳhayāl apne poshīda nahīñ rakhtā
dushman hī sahī lekin ahbāb se behtar hai
taskīn kī baa.is hai pyāse ke liye 'shādāñ'
ik buuñd hī paanī kī dariyā ke barābar hai
jo kuchh hai chhupi dil mein jo zehn ke andar hai
wo baat bahar-surat chehre se ujagar hai
patthar ki tarah jumle mat phenk meri jaanib
bosida bahut mere ehsas ki chadar hai
lazim hai pahan rakkhen KHud apni hifazat ko
talwar tassub ki laTki hui sar par hai
wo mujh se KHayal apne poshida nahin rakhta
dushman hi sahi lekin ahbab se behtar hai
taskin ki bais hai pyase ke liye 'shadan'
ek bund hi pani ki dariya ke barabar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.