jo kuchh hua KHabar hai usi ki raza se hai
jo kuchh huā ḳhabar hai usī kī razā se hai
ham ko gila kisī se nahīñ hai ḳhudā se hai
jannat meñ mutma.in na jahannum meñ muztarib
parvarda dil zamīn kī āb-o-havā se hai
dushman hai aadmī kā azal se ḳhud aadmī
ya.anī muqābla ye balā kā balā se hai
har ġhair se to ḳhuub guzāra kiyā magar
ai dil mo.āmla tirā ab āshnā se hai
hai zauq kā jamāl se aage mo.āmla
rabt-e-nigāh-e-shauq tumhārī adā se hai
phailā.iye sulūk kā ham tak bhī dā.era
matlab ravā se hai na ġharaz nāravā se hai
ho munfa.il ki bār-e-digar haath uTh ga.e
dil munharif duā se nahīñ mudda.ā se hai
qudsī kare qabā bashariyyat kī zeb-tan
gar vāqa.ī murād koī irtiqā se hai
'shaukat' qalam adū ke tasarruf meñ aa gayā
fan meñ bapā ye ma.arka to ibtidā se hai
jo kuchh hua KHabar hai usi ki raza se hai
hum ko gila kisi se nahin hai KHuda se hai
jannat mein mutmain na jahannum mein muztarib
parwarda dil zamin ki aab-o-hawa se hai
dushman hai aadmi ka azal se KHud aadmi
yani muqabla ye bala ka bala se hai
har ghair se to KHub guzara kiya magar
ai dil moamla tera ab aashna se hai
hai zauq ka jamal se aage moamla
rabt-e-nigah-e-shauq tumhaari ada se hai
phailaiye suluk ka hum tak bhi daera
matlab rawa se hai na gharaz narawa se hai
ho munfail ki bar-e-digar hath uTh gae
dil munharif dua se nahin muddaa se hai
qudsi kare qaba bashariyyat ki zeb-tan
gar waqai murad koi irtiqa se hai
'shaukat' qalam adu ke tasarruf mein aa gaya
fan mein bapa ye marka to ibtida se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.