jo kuchh ki tum sin mujhe bolna tha bol chuka
jo kuchh ki tum siiñ mujhe bolnā thā bol chukā
bayān-e-ishq ke tūmār kuuñ maiñ khol chukā
azal siiñ mujh kuuñ diyā dard sāne-e-taqdīr
mire nasīb ke sharbat meñ zahr ghol chukā
jinnoñ ke shahr meñ nahīñ kam-ayār kuuñ hurmat
maiñ naqd-e-qalb kuuñ kāñTe meñ dil ke tol chukā
mujhe ḳharīd kiye tum ne kam nigāhī siiñ
kamīna banda-e-be-zar kā aaj mol chukā
nahīñ rahā suḳhan-e-āb-dār kā motī
'sirāj' tab.a ke sab jauharoñ kuuñ roll chukā
jo kuchh ki tum sin mujhe bolna tha bol chuka
bayan-e-ishq ke tumar kun main khol chuka
azal sin mujh kun diya dard sane-e-taqdir
mere nasib ke sharbat mein zahr ghol chuka
jinnon ke shahr mein nahin kam-ayar kun hurmat
main naqd-e-qalb kun kanTe mein dil ke tol chuka
mujhe KHarid kiye tum ne kam nigahi sin
kamina banda-e-be-zar ka aaj mol chuka
nahin raha suKHan-e-ab-dar ka moti
'siraj' taba ke sab jauharon kun roll chuka
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 294)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.