jo kuchh kiya so humne kiya apni chah se
jo kuchh kiya so humne kiya apni chah se
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
jo kuchh kiyā so ham ne kiyā apnī chaah se
ab shikva kījiye na kuchh us rashk-e-māh se
āshiq ke rozgār ko us ne siyah kiyā
kākul se ḳhat se zulf se ḳhālī siyāh se
tāb-o-tavān-o-dīn-o-dil-o-aql-o-sabr-o-hosh
vo shoḳh mujh se le gayā sab ik nigāh se
kī charḳh kaj-ravish ne ye kyā kaj-adā.ī ḳharch
jo ham ko āshnā kiyā us kaj-kulāh se
kasrat nujūm kī na falak par ye samjhiyo
ġhirbāl ho gayā hai mire tīr-e-āh se
us shoḳh ḳhud-pasand se pūchhe koī sahī
sābit huā hai qatl mirā kis gunāh se
pyāre abas hue ho 'jahāñdār' se ḳhafā
be-dil na ho tum aise dilī-ḳhair-ḳhvāh se
jo kuchh kiya so hum ne kiya apni chah se
ab shikwa kijiye na kuchh us rashk-e-mah se
aashiq ke rozgar ko us ne siyah kiya
kakul se KHat se zulf se KHali siyah se
tab-o-tawan-o-din-o-dil-o-aql-o-sabr-o-hosh
wo shoKH mujh se le gaya sab ek nigah se
ki charKH kaj-rawish ne ye kya kaj-adai KHarch
jo hum ko aashna kiya us kaj-kulah se
kasrat nujum ki na falak par ye samjhiyo
ghirbaal ho gaya hai mere tir-e-ah se
us shoKH KHud-pasand se puchhe koi sahi
sabit hua hai qatl mera kis gunah se
pyare abas hue ho 'jahandar' se KHafa
be-dil na ho tum aise dili-KHair-KHwah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.