jo kuchh nazar paDa mera dekha hua laga
jo kuchh nazar paḌā mirā dekhā huā lagā
ye jism kā libās bhī pahnā huā lagā
jo sher bhī kahā vo purānā lagā mujhe
jis lafz ko chhuā vahī bartā huā lagā
dil kā nagar to der se vīrān thā magar
sūraj kā shahr bhī mujhe ujḌā huā lagā
apnā bhī jī udaas thā mausam ko dekh kar
is shoḳh kā mizāj bhī badlā huā lagā
'pāshī' se khul ke baat hamārī bhī kal huī
vo naujavān to hameñ suljhā huā lagā
jo kuchh nazar paDa mera dekha hua laga
ye jism ka libas bhi pahna hua laga
jo sher bhi kaha wo purana laga mujhe
jis lafz ko chhua wahi barta hua laga
dil ka nagar to der se viran tha magar
suraj ka shahr bhi mujhe ujDa hua laga
apna bhi ji udas tha mausam ko dekh kar
is shoKH ka mizaj bhi badla hua laga
'pashi' se khul ke baat hamari bhi kal hui
wo naujawan to hamein suljha hua laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.