jo kuchh socha jo kuchh likkha tere nam
jo kuchh sochā jo kuchh likkhā tere naam
merī ziist kā lamha lamha tere naam
rakh duuñ tere sar pe taaj mohabbat kā
kar duuñ apne pyaar kī duniyā tere naam
merī zaat kā mehvar terī zaat faqat
ik ik bandhan ik ik rishta tere naam
us kī ḳhushbū shāyad tujh tak pahuñch sake
dariyā meñ ik phuul bahāyā tere naam
dil sāhil par tez havā se kuchh pahle
maiñ ne ik paiġhām likhā thā tere naam
jaane vaale kaash kabhī tū lauT aa.e
mere ghar kā har ik rasta tere naam
āñkhoñ meñ 'mahbūb' jo rim-jhim rim-jhim hai
is bārish kā qatra qatra tere naam
jo kuchh socha jo kuchh likkha tere nam
meri zist ka lamha lamha tere nam
rakh dun tere sar pe taj mohabbat ka
kar dun apne pyar ki duniya tere nam
meri zat ka mehwar teri zat faqat
ek ek bandhan ek ek rishta tere nam
us ki KHushbu shayad tujh tak pahunch sake
dariya mein ek phul bahaya tere nam
dil sahil par tez hawa se kuchh pahle
main ne ek paigham likha tha tere nam
jaane wale kash kabhi tu lauT aae
mere ghar ka har ek rasta tere nam
aankhon mein 'mahbub' jo rim-jhim rim-jhim hai
is barish ka qatra qatra tere nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.