jo kuchh tha muqaddar mein gawara to nahin tha
jo kuchh thā muqaddar meñ gavārā to nahīñ thā
dar-parda kahīñ un kā ishārā to nahīñ thā
jitnī thī khaTak saañs kī kul naġhma-e-jāñ thī
kyā tum ne mujhe hañs ke pukārā to nahīñ thā
tā-zīst mujhe jān-e-hazīñ baḳhshne vaale
is meñ koī andāz tumhārā to nahīñ thā
ro ro ke qayāmat kā liyā naam kisī ne
koī tirī ummīd kā maarā to nahīñ thā
TuuTe hue kyoñ dil ko mire dekh rahe ho
aañsū thā mirī sub.h kā taarā to nahīñ thā
muddat se baḌā naam hai firdaus kā 'kaifī'
gesū ko kahīñ us ne sañvārā to nahīñ thā
jo kuchh tha muqaddar mein gawara to nahin tha
dar-parda kahin un ka ishaara to nahin tha
jitni thi khaTak sans ki kul naghma-e-jaan thi
kya tum ne mujhe hans ke pukara to nahin tha
ta-zist mujhe jaan-e-hazin baKHshne wale
is mein koi andaz tumhaara to nahin tha
ro ro ke qayamat ka liya nam kisi ne
koi teri ummid ka mara to nahin tha
TuTe hue kyon dil ko mere dekh rahe ho
aansu tha meri subh ka tara to nahin tha
muddat se baDa nam hai firdaus ka 'kaifi'
gesu ko kahin us ne sanwara to nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.