jo lazzat dard mein hai jaante hain
jo lazzat dard mein hai jaante hain
Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
jo lazzat dard meñ hai jānte haiñ
use me.arāj-e-dil gardānte haiñ
kahīñ kuchh to sukūñ miltā jahāñ meñ
ye mausam dard kā hai mānte haiñ
ye apnī be-hisī kī intihā hai
ki qātil ko masīhā mānte haiñ
ye ḳhush-fahmī nahīñ to aur kyā hai
unheñ apnā jo ham gardānte haiñ
sazā-vār-e-mohabbat aur bhī haiñ
hamīñ par aap ḳhanjar tānte haiñ
ta.ayyun kar to leñ vo samt-e-manzil
'ziyā' jo ḳhāk-e-sahrā chhānte haiñ
jo lazzat dard mein hai jaante hain
use mearaj-e-dil gardante hain
kahin kuchh to sukun milta jahan mein
ye mausam dard ka hai mante hain
ye apni be-hisi ki intiha hai
ki qatil ko masiha mante hain
ye KHush-fahmi nahin to aur kya hai
unhen apna jo hum gardante hain
saza-war-e-mohabbat aur bhi hain
hamin par aap KHanjar tante hain
tayyun kar to len wo samt-e-manzil
'ziya' jo KHak-e-sahra chhante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.