jo likha hai wahi paDha hai abhi
jo likhā hai vahī paḌhā hai abhī
us kā pahlā hī ḳhat milā hai abhī
khā rahā hai abhī taras mujh par
'ishq andhā nahīñ huā hai abhī
baiTh jaatā huuñ us ke dar pe kahīñ
koī darja nahīñ milā hai abhī
mīr-o-ġhālib kī zer-e-nigrānī
'ishq par kaam chal rahā hai abhī
lafz dil tak abhī nahīñ pahuñche
vo nigāhoñ se sochtā hai abhī
jaise-taise kisī pe martā huuñ
zindagī ne jakaḌ rakhā hai abhī
'ishq abhī jaan tak nahīñ pohñchā
ḳhuun se kaam chal rahā hai abhī
jo likha hai wahi paDha hai abhi
us ka pahla hi KHat mila hai abhi
kha raha hai abhi taras mujh par
'ishq andha nahin hua hai abhi
baiTh jata hun us ke dar pe kahin
koi darja nahin mila hai abhi
mir-o-ghaalib ki zer-e-nigrani
'ishq par kaam chal raha hai abhi
lafz dil tak abhi nahin pahunche
wo nigahon se sochta hai abhi
jaise-taise kisi pe marta hun
zindagi ne jakaD rakha hai abhi
'ishq abhi jaan tak nahin pohncha
KHun se kaam chal raha hai abhi
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 27)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.