jo likha wo likh diya jaan-e-jaan karun aaj is ka malal kya
jo likhā vo likh diyā jān-e-jāñ karūñ aaj is kā malāl kyā
tirā zikr ho tirī baat ho to karūñ maiñ jag kā ḳhayāl kyā
milī dam-ba-dam hasīñ raushnī ki hayāt merī nikhar ga.ī
tire qurb se tire pyaar se ho qarār-e-jāñ to kamāl kyā
abhī saath thā abhī kho gayā abhī tīrgī meñ Dubo gayā
abhī us kī aas na pyaas hai to ḳhayāl-e-qurb-o-visāl kyā
rah-e-zindagī hai dhuāñ dhuāñ nahīñ ik kiran kā kahīñ nishāñ
maiñ huuñ be-yaqīnī kī chhāñv meñ to numūd-e-rang-o-jamāl kyā
rah-e-āshiqāñ jo huā sitam kabhī zikr hogā na us kā kam
yūñhī hogā tan jo lahū lahū to karūñ maiñ jang-o-qitāl kyā
tirī chaah thī tirā pyaar thā tirā qurb thā tirī dostī
tū nahīñ to phir ye hikāyateñ ye shikāyateñ ye malāl kyā
tujhe tujh se maiñ ne talab kiyā tujhe lutf-e-jāñ kā sabab kiyā
ye sitam hai tū ne ġhazab kiyā to karūñ maiñ tujh se savāl kyā
jo likha wo likh diya jaan-e-jaan karun aaj is ka malal kya
tera zikr ho teri baat ho to karun main jag ka KHayal kya
mili dam-ba-dam hasin raushni ki hayat meri nikhar gai
tere qurb se tere pyar se ho qarar-e-jaan to kamal kya
abhi sath tha abhi kho gaya abhi tirgi mein Dubo gaya
abhi us ki aas na pyas hai to KHayal-e-qurb-o-visal kya
rah-e-zindagi hai dhuan dhuan nahin ek kiran ka kahin nishan
main hun be-yaqini ki chhanw mein to numud-e-rang-o-jamal kya
rah-e-ashiqan jo hua sitam kabhi zikr hoga na us ka kam
yunhi hoga tan jo lahu lahu to karun main jang-o-qital kya
teri chah thi tera pyar tha tera qurb tha teri dosti
tu nahin to phir ye hikayaten ye shikayaten ye malal kya
tujhe tujh se main ne talab kiya tujhe lutf-e-jaan ka sabab kiya
ye sitam hai tu ne ghazab kiya to karun main tujh se sawal kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.