jo log aadhe-adhure udas rahte hain
jo log ādhe-adhūre udaas rahte haiñ
unheñ sikhā.ūñgā kaise udaas rahte haiñ
udaas tum ho vahāñ par udaas ham haiñ yahāñ
kabhī milo to ikaTThe udaas rahte haiñ
banā.e rakhte haiñ har haal meñ tavāzun ham
ki ḳhush bhī itne the jitne udaas rahte haiñ
udāsī tere mulāzim na.e haiñ ham lekin
purāne vāloñ se achchhe udaas rahte haiñ
sharīk hote haiñ kam mahfil-e-udāsī meñ
ziyāda-tar to akele udaas rahte haiñ
tumhāre sāmne jaltā nahīñ hai un kā charāġh
ki chāñd ho to sitāre udaas rahte haiñ
kise dikhāoge apnī udāsiyāñ 'sharjīl'
yahāñ to tum se bhī achchhe udaas rahte haiñ
jo log aadhe-adhure udas rahte hain
unhen sikhaunga kaise udas rahte hain
udas tum ho wahan par udas hum hain yahan
kabhi milo to ikaTThe udas rahte hain
banae rakhte hain har haal mein tawazun hum
ki KHush bhi itne the jitne udas rahte hain
udasi tere mulazim nae hain hum lekin
purane walon se achchhe udas rahte hain
sharik hote hain kam mahfil-e-udasi mein
ziyaada-tar to akele udas rahte hain
tumhaare samne jalta nahin hai un ka charagh
ki chand ho to sitare udas rahte hain
kise dikhaoge apni udasiyan 'sharjil'
yahan to tum se bhi achchhe udas rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.