jo log apni zat mein gumrah ho gae
jo log apnī zaat meñ gumrāh ho ga.e
vaa.iz bane faqīh hue shaah ho ga.e
baḌhtī ga.ī hai aap se nā-vāqifī mazīd
ham jis qadar mizāj se āgāh ho ga.e
turra baḌhā ke aa.e jo qāmat pe kuchh buzurg
dar-asl qad meñ aur bhī kotāh ho ga.e
jab hausla huā to bane koh yaar log
kam-himmatī huī to par-e-kāh ho ga.e
'shaukat' aham bhī ḳhaas kahāñ the muāmle
jo ḳhvāh tai hue hī nahīñ ḳhvāh ho ga.e
jo log apni zat mein gumrah ho gae
waiz bane faqih hue shah ho gae
baDhti gai hai aap se na-waqifi mazid
hum jis qadar mizaj se aagah ho gae
turra baDha ke aae jo qamat pe kuchh buzurg
dar-asl qad mein aur bhi kotah ho gae
jab hausla hua to bane koh yar log
kam-himmati hui to par-e-kah ho gae
'shaukat' aham bhi KHas kahan the muamle
jo KHwah tai hue hi nahin KHwah ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.