jo log bhi haalat se ghabrae hue hain
jo log bhī hālāt se ghabrā.e hue haiñ
chaukhaT pe tumhārī vo sabhī aa.e hue haiñ
jin ko bhī milī ḳhāk-e-dar-e-yār zarā sī
be-nūr jabīnoñ ko vo chamkā.e hue haiñ
dāman ko jhulasne se bachāne kī ġharaz kyā
sho.ale ye tumhāre hī to bhaḌkā.e hue haiñ
chāho to agar baañT lo ham se ġham-e-hijrāñ
ham bhī to kisī shaḳhs ke Thukrā.e hue haiñ
rakkhe haiñ vo zindān ko ābād ḳhushī se
zanjīr ġhulāmī kī jo khankā.e hue haiñ
chāTe haiñ tire hijr ke lamhāt badan ko
ye vasl ke imkān mujhe khaa.e hue haiñ
mahfil meñ ghumāte hue uñglī se vo kākul
kyā jāniye kis kis pe sitam Dhaa.e hue haiñ
ab kaise batā.ūñ tirī zulfoñ se ziyāda
duniyā ke masā.il mujhe uljhā.e hue haiñ
apnoñ se hī karnī hai hameñ apnī hifāzat
allāh ye kis daur meñ ham aa.e hue haiñ
paḌtī hī nahīñ haiñ kabhī ḳhushiyoñ kī shuā.eñ
har samt mire abr-e-sitam chhā.e hue haiñ
'afzal' nahīñ rahtā koī duniyā meñ hamesha
phir aap ye kis baat pe itrā.e hue haiñ
jo log bhi haalat se ghabrae hue hain
chaukhaT pe tumhaari wo sabhi aae hue hain
jin ko bhi mili KHak-e-dar-e-yar zara si
be-nur jabinon ko wo chamkae hue hain
daman ko jhulasne se bachane ki gharaz kya
shoale ye tumhaare hi to bhaDkae hue hain
chaho to agar banT lo hum se gham-e-hijran
hum bhi to kisi shaKHs ke Thukrae hue hain
rakkhe hain wo zindan ko aabaad KHushi se
zanjir ghulami ki jo khankae hue hain
chaTe hain tere hijr ke lamhat badan ko
ye wasl ke imkan mujhe khae hue hain
mahfil mein ghumate hue ungli se wo kakul
kya jaaniye kis kis pe sitam Dhae hue hain
ab kaise bataun teri zulfon se ziyaada
duniya ke masail mujhe uljhae hue hain
apnon se hi karni hai hamein apni hifazat
allah ye kis daur mein hum aae hue hain
paDti hi nahin hain kabhi KHushiyon ki shuaen
har samt mere abr-e-sitam chhae hue hain
'afzal' nahin rahta koi duniya mein hamesha
phir aap ye kis baat pe itrae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.