jo log chhoD ke naqsh-e-qadam gae honge
jo log chhoḌ ke naqsh-e-qadam ga.e hoñge
kahūñ maiñ kaise ki sū-e-adam ga.e hoñge
tilism-e-ḳhāna-e-mahviyyat-e-ḳhayāl na pūchh
na aa.e hoñge yahāñ vo na ham ga.e hoñge
jo zulm Dhāyā hai insāñ ne aaj insāñ par
farishte bhī ise sun kar saham ga.e hoñge
haram hī kyā tire dīvāne justujū meñ tirī
butoñ ke dar pe ḳhudā kī qasam ga.e hoñge
ye aur baat ki dar ek baar bhī na khulā
hazār baar tire dar pe ham ga.e hoñge
dikhā do un ko bulā kar ye āḳhirī manzar
pukār lo ki abhī kuchh qadam ga.e hoñge
vo rāh-e-kaj sahī kaj-rau na kahiye un ko 'nasīm'
jo dekh kar kisī abrū kā ḳham ga.e hoñge
jo log chhoD ke naqsh-e-qadam gae honge
kahun main kaise ki su-e-adam gae honge
tilism-e-KHana-e-mahwiyyat-e-KHayal na puchh
na aae honge yahan wo na hum gae honge
jo zulm Dhaya hai insan ne aaj insan par
farishte bhi ise sun kar saham gae honge
haram hi kya tere diwane justuju mein teri
buton ke dar pe KHuda ki qasam gae honge
ye aur baat ki dar ek bar bhi na khula
hazar bar tere dar pe hum gae honge
dikha do un ko bula kar ye aaKHiri manzar
pukar lo ki abhi kuchh qadam gae honge
wo rah-e-kaj sahi kaj-rau na kahiye un ko 'nasim'
jo dekh kar kisi abru ka KHam gae honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.