jo log kaT ke guzishta se haal mein aae
jo log kaT ke guzishta se haal meñ aa.e
vajūd unhī ke nigāh-e-zavāl meñ aa.e
vo fikr diije ki ho e.atibār-e-mustaqbil
vo baat kahiye ki sadiyoñ misāl meñ aa.e
rahīn-e-zar hai abhī to har ek jazba-e-shauq
kahāñ se ishq kī lazzat visāl meñ aa.e
pahuñch gayā huuñ maiñ ahl-e-junūñ ke maqsad ko
vo chāhte haiñ ḳhirad ishti.āl meñ aa.e
ab itnī tez hai raftār zindagī kī 'shujā'
ḳhayāl-e-yār kahāñ se ḳhayāl meñ aa.e
jo log kaT ke guzishta se haal mein aae
wajud unhi ke nigah-e-zawal mein aae
wo fikr dije ki ho eatibar-e-mustaqbil
wo baat kahiye ki sadiyon misal mein aae
rahin-e-zar hai abhi to har ek jazba-e-shauq
kahan se ishq ki lazzat visal mein aae
pahunch gaya hun main ahl-e-junun ke maqsad ko
wo chahte hain KHirad ishtial mein aae
ab itni tez hai raftar zindagi ki 'shuja'
KHayal-e-yar kahan se KHayal mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.