jo log ki insan ki izzat nahin karte
jo log ki insān kī izzat nahīñ karte
vo log ḳhudā se bhī mohabbat nahīñ karte
rakhte haiñ vahī vus.at-e-aflāk pe nazreñ
jo daar pe bhī tark-e-sadāqat nahīñ karte
jis baat se insān ke jazbāt hoñ majrūh
ham bhuul ke bhī aisī himāqat nahīñ karte
gir jaate haiñ ḳhud apnī nigāhoñ se vo insāñ
jo apne parā.e se muravvat nahīñ karte
taqsīm kareñge vo kahāñ ilm kī daulat
jo hoñT hilāne kī bhī zahmat nahīñ karte
haiñ ek 'sirāj' un ke liye apne parā.e
kam-zarf kisī kī bhī himāyat nahīñ karte
jo log ki insan ki izzat nahin karte
wo log KHuda se bhi mohabbat nahin karte
rakhte hain wahi wusat-e-aflak pe nazren
jo dar pe bhi tark-e-sadaqat nahin karte
jis baat se insan ke jazbaat hon majruh
hum bhul ke bhi aisi himaqat nahin karte
gir jate hain KHud apni nigahon se wo insan
jo apne parae se murawwat nahin karte
taqsim karenge wo kahan ilm ki daulat
jo honT hilane ki bhi zahmat nahin karte
hain ek 'siraj' un ke liye apne parae
kam-zarf kisi ki bhi himayat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.