jo māhtāb meñ hai vaqt-e-shab jamāl tirā
hai sub.h-dam vahī ḳhurshīd meñ jalāl tirā
sabā meñ hai jo latāfat tirī latāfat hai
jamāl hai jo guloñ meñ hai vo jamāl tirā
khiñchī huī chalī aatī hai is meñ ik duniyā
samā rahā hai mire dil meñ yuuñ ḳhayāl tirā
fanā se kaam tujhe kyā ki jāvedāñ tū hai
nahīñ zavāl se nādim kabhī kamāl tirā
hai zarra zarra 'munavvar' tirī tajallī se
kuchh ek mehr-e-mubīñ meñ nahīñ jalāl tirā
jo mahtab mein hai waqt-e-shab jamal tera
hai subh-dam wahi KHurshid mein jalal tera
saba mein hai jo latafat teri latafat hai
jamal hai jo gulon mein hai wo jamal tera
khinchi hui chali aati hai is mein ek duniya
sama raha hai mere dil mein yun KHayal tera
fana se kaam tujhe kya ki jawedan tu hai
nahin zawal se nadim kabhi kamal tera
hai zarra zarra 'munawwar' teri tajalli se
kuchh ek mehr-e-mubin mein nahin jalal tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.