jo mango wo kab milta hai
jo māñgo vo kab miltā hai
ab ke ham ne dukh māñgā hai
ghar meñ haal buzurgoñ kā ab
pītal ke bartan jaisā hai
naatī potoñ ne zid keī to
ammā kā sandūq khulā hai
haath se us ne dī thiiñ gāñTheñ
ab dāñtoñ se khol rahā hai
ab tum raakh uThā kar dekho
kyā kyā jism ke saath jalā hai
duur vaso yā paas raho ab
rishtoñ kā pul TuuT chukā hai
duub chamaktī hai khetoñ meñ
bargad chintā meñ Duubā hai
rotī āñkheñ hañstā chehra
añgāroñ par phuul khilā hai
āñkhoñ se hai ojhal manzil
pairoñ se rasta lipTā hai
Duub rahī do āñkheñ haiñ aur
bujhtī sī faanī duniyā hai
kohre meñ lipTī hai bastī
sūraj bhī jugnū lagtā hai
shab 'ḳhayāl' aa.ī phir us keī
āñkhoñ se aañsū Tapkā hai
jo mango wo kab milta hai
ab ke hum ne dukh manga hai
ghar mein haal buzurgon ka ab
pital ke bartan jaisa hai
nati poton ne zid kei to
amma ka sanduq khula hai
hath se us ne di thin ganThen
ab danton se khol raha hai
ab tum rakh uTha kar dekho
kya kya jism ke sath jala hai
dur waso ya pas raho ab
rishton ka pul TuT chuka hai
dub chamakti hai kheton mein
bargad chinta mein Duba hai
roti aankhen hansta chehra
angaron par phul khila hai
aankhon se hai ojhal manzil
pairon se rasta lipTa hai
Dub rahi do aankhen hain aur
bujhti si fani duniya hai
kohre mein lipTi hai basti
suraj bhi jugnu lagta hai
shab 'KHayal' aai phir us kei
aankhon se aansu Tapka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.