jo main nahin mere jaisa bahut zaruri hai
jo maiñ nahīñ mire jaisā bahut zarūrī hai
charāġh ek to honā bahut zarūrī hai
ġhamoñ ko bech rahā huuñ maiñ is liye shāyad
kahā thā baap ne paisa bahut zarūrī hai
dhueñ ne bhīñch dī chīḳheñ tabhī pata ye chalā
ki ghar meñ ek darīcha bahut zarūrī hai
vo she'r huuñ maiñ jo khultā nahīñ hai jaldī se
mirī tarah mujhe sunñā bahut zarūrī hai
jo main nahin mere jaisa bahut zaruri hai
charagh ek to hona bahut zaruri hai
ghamon ko bech raha hun main is liye shayad
kaha tha bap ne paisa bahut zaruri hai
dhuen ne bhinch di chiKHen tabhi pata ye chala
ki ghar mein ek daricha bahut zaruri hai
wo she'r hun main jo khulta nahin hai jaldi se
meri tarah mujhe sunna bahut zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.