jo marhala-e-saKHt ka hamil nahin hota
jo marhala-e-saḳht kā hāmil nahīñ hotā
vo zindagī bhar fā.ez-e-manzil nahīñ hotā
majbūr pe māyūs pe ye jaur-e-musalsal
majbūr ke māyūs ke kyā dil nahīñ hotā
ashkoñ pe hai bejoḌ sā ye aks-e-tabassum
ā.īne ke ā.īna muqābil nahīñ hotā
kyoñ zindagī begāna huī jaatī hai mujh se
ab dard se shāyad adab-e-dil nahīñ hotā
nādān tū ḳhud apnī jagah aap hī manzil
kyoñ kahtā hai maiñ vāsil-e-manzil nahīñ hotā
tartīb diyā jaatā hai ye azm-e-ravāñ se
tūfān meñ pinhāñ kabhī sāhil nahīñ hotā
parvāne 'shifā' is liye khā jaate haiñ dhokā
nazroñ meñ ma.āl-e-shab-e-mahfil nahīñ hotā
jo marhala-e-saKHt ka hamil nahin hota
wo zindagi bhar faez-e-manzil nahin hota
majbur pe mayus pe ye jaur-e-musalsal
majbur ke mayus ke kya dil nahin hota
ashkon pe hai bejoD sa ye aks-e-tabassum
aaine ke aaina muqabil nahin hota
kyon zindagi begana hui jati hai mujh se
ab dard se shayad adab-e-dil nahin hota
nadan tu KHud apni jagah aap hi manzil
kyon kahta hai main wasil-e-manzil nahin hota
tartib diya jata hai ye azm-e-rawan se
tufan mein pinhan kabhi sahil nahin hota
parwane 'shifa' is liye kha jate hain dhoka
nazron mein maal-e-shab-e-mahfil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.