jo maut hai zindagi ke pichhe to maut ke pichhe zindagi kyon
![Muhammad Fiaz Hasrat Muhammad Fiaz Hasrat](https://rekhta.pc.cdn.bitgravity.com/Images/Shayar/round/muhammad-fiaz-hasrat.png)
jo maut hai zindagi ke pichhe to maut ke pichhe zindagi kyon
Muhammad Fiaz Hasrat
MORE BYMuhammad Fiaz Hasrat
jo maut hai zindagī ke pīchhe to maut ke pīchhe zindagī kyoñ
ġhamī ke pīchhe bhī gar ḳhushī hai ḳhushī ke pīchhe hai phir ġhamī kyoñ
ye nafrateñ ye kudūrateñ kyoñ haiñ aage sīrat se sūrateñ kyoñ
yahāñ haiñ maujūd ab bhī insāñ phir ādamiyyat kī bandagī kyoñ
ye uljhaneñ kyoñ ye dard-o-ġham kyoñ ye mushkileñ kyoñ ye Thokareñ kyoñ
milī to haiñ be-shumār chīzeñ phir in ke badle bas ik ḳhushī kyoñ
ye bhī samajhne se huuñ maiñ qāsir ki aadmī kyoñ huā hai bartar
koī batā.e ki aadmī se yahāñ har ik shai hai qīmtī kyoñ
bas ek hī sham' jal rahī thī huā thā saarā chaman ye raushan
haiñ jal rahī ab hazār sham'eñ chaman meñ hai phir bhī tīrgī kyoñ
har ek hasrat ye jāntā hai milegī mushkil ke baa'd rāhat
to baa'd mushkil ke bārhā yaañ paḌā hai mushkil meñ aadmī kyoñ
jo maut hai zindagi ke pichhe to maut ke pichhe zindagi kyon
ghami ke pichhe bhi gar KHushi hai KHushi ke pichhe hai phir ghami kyon
ye nafraten ye kuduraten kyon hain aage sirat se suraten kyon
yahan hain maujud ab bhi insan phir aadamiyyat ki bandagi kyon
ye uljhanen kyon ye dard-o-gham kyon ye mushkilen kyon ye Thokaren kyon
mili to hain be-shumar chizen phir in ke badle bas ek KHushi kyon
ye bhi samajhne se hun main qasir ki aadmi kyon hua hai bartar
koi batae ki aadmi se yahan har ek shai hai qimti kyon
bas ek hi sham' jal rahi thi hua tha sara chaman ye raushan
hain jal rahi ab hazar sham'en chaman mein hai phir bhi tirgi kyon
har ek hasrat ye jaanta hai milegi mushkil ke ba'd rahat
to ba'd mushkil ke barha yan paDa hai mushkil mein aadmi kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.