jo mehrban kahin wo rashk-e-mah ho jawe
jo mehrban kahin wo rashk-e-mah ho jawe
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni
jo mehrbāñ kahīñ vo rashk-e-māh ho jaave
to ye gadā bhī kabhī bādshāh ho jaave
jo apnī sho.ala-fagan barq-e-āh ho jaave
to kāḳh-e-charḳh bhī jal kar tabāh ho jaave
do chaar gar mirī un kī nigāh ho jaave
to sab mo.āmla phir rū-barāh ho jaave
kareñ safed bhī ghar ko mire agar me.amār
to dūd-e-āh se fauran siyāh ho jaave
shab-e-visāl kī aatī haiñ yaad yuuñ bāteñ
ki ḳhvāb meñ koī jyuuñ bādshāh ho jaave
jo jā.ūñ aaj kī shab un kī bazm meñ tanhā
to mujh pe ġhair kā kaash ishtibāh ho jaave
yahī duā hai ki anjām ho ba-ḳhair mirā
ḳhudā kare ki butoñ se nibāh ho jaave
nigāh-e-lutf jo ġhairoñ pe hai to behtar hai
kabhī idhar bhī karam kī nigāh ho jaave
tire itaab kī lazzat se ye tamanna hai
ki aaj bhī koī mujh se gunāh ho jaave
zamāna tum pe hai ġhash kyā ajab jo hashr ke din
mirā gavāh tumhārā gavāh ho jaave
mile bhī huur jo zāhid ko ḳhuld meñ jā kar
mazā ho vaañ jo use zo.af-e-bāh ho jaave
nikālo 'sehr' vo mazmūn tab.a-e-ālī se
jahāñ meñ jis ke sabab vāh-vāh ho jaave
jo mehrban kahin wo rashk-e-mah ho jawe
to ye gada bhi kabhi baadshah ho jawe
jo apni shoala-fagan barq-e-ah ho jawe
to kaKH-e-charKH bhi jal kar tabah ho jawe
do chaar gar meri un ki nigah ho jawe
to sab moamla phir ru-barah ho jawe
karen safed bhi ghar ko mere agar meamar
to dud-e-ah se fauran siyah ho jawe
shab-e-visal ki aati hain yaad yun baaten
ki KHwab mein koi jyun baadshah ho jawe
jo jaun aaj ki shab un ki bazm mein tanha
to mujh pe ghair ka kash ishtibah ho jawe
yahi dua hai ki anjam ho ba-KHair mera
KHuda kare ki buton se nibah ho jawe
nigah-e-lutf jo ghairon pe hai to behtar hai
kabhi idhar bhi karam ki nigah ho jawe
tere itab ki lazzat se ye tamanna hai
ki aaj bhi koi mujh se gunah ho jawe
zamana tum pe hai ghash kya ajab jo hashr ke din
mera gawah tumhaara gawah ho jawe
mile bhi hur jo zahid ko KHuld mein ja kar
maza ho wan jo use zoaf-e-bah ho jawe
nikalo 'sehr' wo mazmun taba-e-ali se
jahan mein jis ke sabab wah-wah ho jawe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.