jo mera haal hai wo us ka haal thoDai hai
jo merā haal hai vo us kā haal thoḌa.ī hai
use bichhaḌne kā koī malāl thoḌa.ī hai
tū bevafā.ī pe apnī na is qadar itrā
fareb denā kisī ko kamāl thoḌa.ī hai
tirā firāq bhī aur muflisī ke sadme bhī
hamārī jaan ko bas ik vabāl thoḌa.ī hai
kahāñ ye chāñd kahāñ terā husn-o-rang-e-jamāl
tire badan kī tarah us kā Dhaal thoḌa.ī hai
janāb ek ke baad ek ġham milā hai hameñ
hamāre vāste ye achchhā saal thoḌa.ī hai
zamāna ho gayā tark-e-ta.alluqāt hue
'farāz' ab un se mirī bol-chāl thoḌa.ī hai
jo mera haal hai wo us ka haal thoDai hai
use bichhaDne ka koi malal thoDai hai
tu bewafai pe apni na is qadar itra
fareb dena kisi ko kamal thoDai hai
tera firaq bhi aur muflisi ke sadme bhi
hamari jaan ko bas ek wabaal thoDai hai
kahan ye chand kahan tera husn-o-rang-e-jamal
tere badan ki tarah us ka Dhaal thoDai hai
janab ek ke baad ek gham mila hai hamein
hamare waste ye achchha sal thoDai hai
zamana ho gaya tark-e-talluqat hue
'faraaz' ab un se meri bol-chaal thoDai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.