jo mera le gaya dil kaun wo insan hai kya hai
jo mera le gaya dil kaun wo insan hai kya hai
Qasim Ali Khan Afridi
MORE BYQasim Ali Khan Afridi
jo merā le gayā dil kaun vo insān hai kyā hai
parī hai yā malak yā huur yā ġhilmān hai kyā hai
nazar zulfoñ pe us kī jā paḌī jis kī lagā kahne
ye donoñ saañp haiñ yā kākul-e-pechān hai kyā hai
gayā huuñ bhuul sab kuchh duḳhtar-e-raz jaise haath aa.ī
jigar hai jaan hai īmān hai īqān hai kyā hai
hamāre yaar ke kuchh darmiyāñ jo baat bol uTThe
raqīb-e-rū-siyah ġhammāz yā shaitān hai kyā hai
zamīñ par jhāñkte haiñ roz-o-shab aflāk se kis ko
mah-o-ḳhur yā kisī kā dīda-e-hairān hai kyā hai
mire rone ko dekhā hijr meñ jis ne so yuuñ bolā
jhaḌī barsāt kī yā mauja-e-tūfān hai kyā hai
ba-josh-e-ishq laTke hai nahīñ mujh ko tamīz itnī
ba-mizhgāñ laḳht-e-dil yā dur hai yā marjān hai kyā hai
mirī chhātī pe rakh kar dast kī tashḳhīs hukamā ne
ye siina kān-e-gandhak yā ki ātish-dān hai kyā hai
jale siine se duud uTThā dimāġh āshufta kar Daalā
mukarrar dil bhunā yā phir jigar biryān hai kyā hai
na bhuul ai ḳhizr mar jaanā hai āḳhir Tuk jiyā to kyā
agar mādām hai kyā hai vagar yak aan hai kyā hai
fanā-fishshaiḳh ho, tafrīq 'afrīdī' na kar hargiz
nabī hai yā alī yā hāfiz-e-qur.ān hai kyā hai
jo mera le gaya dil kaun wo insan hai kya hai
pari hai ya malak ya hur ya ghilman hai kya hai
nazar zulfon pe us ki ja paDi jis ki laga kahne
ye donon sanp hain ya kakul-e-pechan hai kya hai
gaya hun bhul sab kuchh duKHtar-e-raz jaise hath aai
jigar hai jaan hai iman hai iqan hai kya hai
hamare yar ke kuchh darmiyan jo baat bol uTThe
raqib-e-ru-siyah ghammaz ya shaitan hai kya hai
zamin par jhankte hain roz-o-shab aflak se kis ko
mah-o-KHur ya kisi ka dida-e-hairan hai kya hai
mere rone ko dekha hijr mein jis ne so yun bola
jhaDi barsat ki ya mauja-e-tufan hai kya hai
ba-josh-e-ishq laTke hai nahin mujh ko tamiz itni
ba-mizhgan laKHt-e-dil ya dur hai ya marjaan hai kya hai
meri chhati pe rakh kar dast ki tashKHis hukama ne
ye sina kan-e-gandhak ya ki aatish-dan hai kya hai
jale sine se dud uTTha dimagh aashufta kar Dala
mukarrar dil bhuna ya phir jigar biryan hai kya hai
na bhul ai KHizr mar jaana hai aaKHir Tuk jiya to kya
agar madam hai kya hai wagar yak aan hai kya hai
fana-fishshaiKH ho, tafriq 'afridi' na kar hargiz
nabi hai ya ali ya hafiz-e-quran hai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.