jo mere pyar mein uljha hua dikhai de
jo mere pyaar meñ uljhā huā dikhā.ī de
ḳhudā kabhī na mirī qaid se rihā.ī de
mirī bahū ko jo koī bhī muñh-dikhā.ī de
to saath naqd ke zevar koī tilā.ī de
ajiib shaḳhs se paalā paḌā hai ai bhābī
maiñ kuchh kahūñ to use kuchh kā kuchh sunā.ī de
vo chheḌā kartī hai mardoñ ko raah chalte meñ
ḳhudā kisī ko na is darja be-hayā.ī de
duā ye apnī paḌosan ko aaj dī maiñ ne
ki in kī shakl kā allāh tujh ko bhaa.ī de
mirī ġhazal ko kisī roz tape kar lenā
maiñ chup rahūñ bhī to naġhma mirā sunā.ī de
jo mere pyar mein uljha hua dikhai de
KHuda kabhi na meri qaid se rihai de
meri bahu ko jo koi bhi munh-dikhai de
to sath naqd ke zewar koi tilai de
ajib shaKHs se pala paDa hai ai bhabi
main kuchh kahun to use kuchh ka kuchh sunai de
wo chheDa karti hai mardon ko rah chalte mein
KHuda kisi ko na is darja be-hayai de
dua ye apni paDosan ko aaj di main ne
ki in ki shakl ka allah tujh ko bhai de
meri ghazal ko kisi roz tape kar lena
main chup rahun bhi to naghma mera sunai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.