jo mere sath sath chalte hain
jo mere saath saath chalte haiñ
mere dushman vahī nikalte haiñ
kaun kahtā hai is jahāñ meñ bas
ye parinde hī rang badalte haiñ
Thokareñ khānā koī aib nahīñ
Thokaroñ se hī ham sañbhalte haiñ
un kī auqāt dekh lo 'haidar'
vo tire naam hī se jalte haiñ
jo mere sath sath chalte hain
mere dushman wahi nikalte hain
kaun kahta hai is jahan mein bas
ye parinde hi rang badalte hain
Thokaren khana koi aib nahin
Thokaron se hi hum sanbhalte hain
un ki auqat dekh lo 'haidar'
wo tere nam hi se jalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.