jo meri aankhon se jhankti hai teri kahani hai ya nahin hai
jo meri aankhon se jhankti hai teri kahani hai ya nahin hai
Shahbaz Nayyar
MORE BYShahbaz Nayyar
jo merī āñkhoñ se jhāñktī hai tirī kahānī hai yā nahīñ hai
agar nahīñ hai to phir batāo ye rā.egānī hai yā nahīñ hai
kisī ke shajre meñ kyā likhā hai mujhe ġharaz hī nahīñ hai is se
zabāñ khulegī to ilm hogā vo ḳhāndānī hai yā nahīñ hai
maiñ apnī tanhā.ī tan pe oḌhe palaT rahā huuñ ye dekhne ko
vo aaj bhī apnī bevafā.ī pe pānī-pānī hai yā nahīñ hai
agar ye tai hai ki āsmāñ par banā.e jaate haiñ saare rishte
to phir batāo hamārī joḌī bhī āsmānī hai yā nahīñ hai
maiñ un se 'shahbāz' pūchhtā huuñ ki sāhab-e-eqtidār logo
batāo logoñ ke dil meñ rahnā bhī hukmrānī hai yā nahīñ hai
jo meri aankhon se jhankti hai teri kahani hai ya nahin hai
agar nahin hai to phir batao ye raegani hai ya nahin hai
kisi ke shajre mein kya likha hai mujhe gharaz hi nahin hai is se
zaban khulegi to ilm hoga wo KHandani hai ya nahin hai
main apni tanhai tan pe oDhe palaT raha hun ye dekhne ko
wo aaj bhi apni bewafai pe pani-pani hai ya nahin hai
agar ye tai hai ki aasman par banae jate hain sare rishte
to phir batao hamari joDi bhi aasmani hai ya nahin hai
main un se 'shahbaz' puchhta hun ki sahab-e-eqtidar logo
batao logon ke dil mein rahna bhi hukmrani hai ya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.