jo meri ghazlon ki tanzil ka muamla hai
jo merī ġhazloñ kī tanzīl kā mu'āmla hai
vo merā aur mire jibrīl kā mu'āmla hai
banā rahā huuñ maiñ kāġhaz pe lafz lafz khañDar
dil-e-tabāh kī tamsīl kā mu'āmla hai
maiñ kyā batā.ūñ mire ashk chhup rahe haiñ kahāñ
ye merī aañkh kī zambīl kā mu'āmla hai
charāġh-e-tūr tirā tazkira 'abas hai yahāñ
yahāñ to ġhaar kī qindīl kā mu'āmla hai
idhar bhī peshvā tā'dād meñ ziyāda haiñ
udhar bhī chaar anājīl kā mu'āmla hai
har ik badan kī ikaa.ī hai do meñ poshīda
ye kā.enāt kī takmīl kā mu'āmla hai
ye ham jo ho ke mukammal bhī nā-mukammal haiñ
ḳhudā ke hukm kī tā'mīl kā mu'āmla hai
milā hai ādam-o-havvā ko nisf nisf vujūd
ye saare dahr kī tashkīl kā mu'āmla hai
is ādhe-pan kī zarūrī hai puurī puurī samajh
jo pūre-pan kī tafāsīl kā mu'āmla hai
ye ḳhadd-o-ḳhāl ke e'rāb sar se paañv talak
badan sahīfoñ kī tartīl kā mu'āmla hai
basar rahā hai ġhazal tiis saal se 'vāsif'
ye mat samajh ki ye tā'jīl kā mu'āmla hai
jo meri ghazlon ki tanzil ka mu'amla hai
wo mera aur mere jibril ka mu'amla hai
bana raha hun main kaghaz pe lafz lafz khanDar
dil-e-tabah ki tamsil ka mu'amla hai
main kya bataun mere ashk chhup rahe hain kahan
ye meri aankh ki zambil ka mu'amla hai
charagh-e-tur tera tazkira 'abas hai yahan
yahan to ghaar ki qindil ka mu'amla hai
idhar bhi peshwa ta'dad mein ziyaada hain
udhar bhi chaar anajil ka mu'amla hai
har ek badan ki ikai hai do mein poshida
ye kaenat ki takmil ka mu'amla hai
ye hum jo ho ke mukammal bhi na-mukammal hain
KHuda ke hukm ki ta'mil ka mu'amla hai
mila hai aadam-o-hawwa ko nisf nisf wujud
ye sare dahr ki tashkil ka mu'amla hai
is aadhe-pan ki zaruri hai puri puri samajh
jo pure-pan ki tafasil ka mu'amla hai
ye KHadd-o-KHal ke e'rab sar se panw talak
badan sahifon ki tartil ka mu'amla hai
basar raha hai ghazal tis sal se 'wasif'
ye mat samajh ki ye ta'jil ka mu'amla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.