jo meri haalat pe hans rahe hain mujhe kuchh un se gila nahin hai
jo meri haalat pe hans rahe hain mujhe kuchh un se gila nahin hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
jo merī hālat pe hans rahe haiñ mujhe kuchh un se gilā nahīñ hai
vo nā-samajh haiñ samajh rahe haiñ ki jaise merā ḳhudā nahīñ hai
ḳhulūs idhar bhī ho aur udhar bhī to dil se phir dil judā nahīñ hai
maiñ un ko chāhūñ vo mujh se rūTheñ kabhī to aisā huā nahīñ hai
jhukā.iye dil ko sar se pahle ki lutf hāsil ho zindagī kā
na ho agar ijz bandagī meñ to bandagī kā mazā nahīñ hai
burā.iyāñ hī burā.iyāñ haiñ burā.iyoñ kā jahāñ hai saarā
buroñ se dāman bachā.eñ kyuuñ kar buroñ ke dāman meñ kyā nahīñ hai
ye maiñ ne maanā ki zindagī meñ havādisāt-e-jahāñ bhī kuchh haiñ
magar hai mujh par karam bhī un kā nasīb merā burā nahīñ hai
nizām-e-duniyā badal hī degī use samajhnā nidā-e-ġhaibī
sadā-e-takbīr jo hamārī hai ye hamārī sadā nahīñ hai
gul-o-shajar par hai murdanī sī fazā pe chhāyā huā hai mātam
ye tujh ko kyā ho gayā hai bulbul jo aaj naġhma-sarā nahīñ hai
pata hī miltā nahīñ kuchh us kā hameñ to bāzār-e-zindagī meñ
to kyā jahān-e-ḳharāb meñ ab kahīñ bhī jins-e-vafā nahīñ hai
jahāñ se hai rābta jahāñ tak jahāñ hamārā jahāñ ke dam haiñ
ye kaise kah deñ ki zindagī meñ kisī se kuchh vāsta nahīñ hai
hujūm-e-isyāñ se kuchh nahīñ Dar samajh chukā huuñ ba-roz-e-mahshar
hai us kī rahmat kā saaya sar par to kyuuñ kahūñ aasrā nahīñ hai
jo aa hī baiThā hai aaj 'ḳhushtar' to ho ke jā.egā ḳhush se ḳhush-tar
tumhāre dar se uThe ye kyūñkar abhī to dāman bharā nahīñ hai
jo meri haalat pe hans rahe hain mujhe kuchh un se gila nahin hai
wo na-samajh hain samajh rahe hain ki jaise mera KHuda nahin hai
KHulus idhar bhi ho aur udhar bhi to dil se phir dil juda nahin hai
main un ko chahun wo mujh se ruThen kabhi to aisa hua nahin hai
jhukaiye dil ko sar se pahle ki lutf hasil ho zindagi ka
na ho agar ijz bandagi mein to bandagi ka maza nahin hai
buraiyan hi buraiyan hain buraiyon ka jahan hai sara
buron se daman bachaen kyun kar buron ke daman mein kya nahin hai
ye main ne mana ki zindagi mein hawadisat-e-jahan bhi kuchh hain
magar hai mujh par karam bhi un ka nasib mera bura nahin hai
nizam-e-duniya badal hi degi use samajhna nida-e-ghaibi
sada-e-takbir jo hamari hai ye hamari sada nahin hai
gul-o-shajar par hai murdani si faza pe chhaya hua hai matam
ye tujh ko kya ho gaya hai bulbul jo aaj naghma-sara nahin hai
pata hi milta nahin kuchh us ka hamein to bazar-e-zindagi mein
to kya jahan-e-KHarab mein ab kahin bhi jins-e-wafa nahin hai
jahan se hai rabta jahan tak jahan hamara jahan ke dam hain
ye kaise kah den ki zindagi mein kisi se kuchh wasta nahin hai
hujum-e-isyan se kuchh nahin Dar samajh chuka hun ba-roz-e-mahshar
hai us ki rahmat ka saya sar par to kyun kahun aasra nahin hai
jo aa hi baiTha hai aaj 'KHushtar' to ho ke jaega KHush se KHush-tar
tumhaare dar se uThe ye kyunkar abhi to daman bhara nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.