jo mil gaya hai us se siwa DhunDhte raho
jo mil gayā hai us se sivā DhūñDhte raho
ya.anī ki ḳhud ko apne binā DhūñDhte raho
merā savāl tum se nahīñ is ḳhalā se hai
phūlo tum apnī bād-e-sabā DhūñDhte raho
ham log koī aur jahāñ dekhte raheñ
tum log koī aur ḳhudā DhūñDhte raho
naddī meñ Dūbte hue chillā rahā thā vo
tum log apnī apnī sazā DhūñDhte raho
jo mil gaya hai us se siwa DhunDhte raho
yani ki KHud ko apne bina DhunDhte raho
mera sawal tum se nahin is KHala se hai
phulo tum apni baad-e-saba DhunDhte raho
hum log koi aur jahan dekhte rahen
tum log koi aur KHuda DhunDhte raho
naddi mein Dubte hue chilla raha tha wo
tum log apni apni saza DhunDhte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.