jo mil gaya wo khana data ka nam japna
jo mil gayā vo khānā daatā kā naam japnā
is ke sivā batā.ūñ kyā tum se kaam apnā
ronā to hai isī kā koī nahīñ kisī kā
duniyā hai aur matlab matlab hai aur apnā
ai barhaman hamārā terā hai ek 'ālam
ham ḳhvāb dekhte haiñ tū dekhtā hai sapnā
ye dhūm-dhām kaisī shauq-e-numūd kaisā
bijlī ko dil kī sūrat aatā nahīñ taḌapnā
be-ishq ke javānī kaTnī nahīñ munāsib
kyūñkar kahūñ ki achchhā hai jeTh kā na tapnā
jo mil gaya wo khana data ka nam japna
is ke siwa bataun kya tum se kaam apna
rona to hai isi ka koi nahin kisi ka
duniya hai aur matlab matlab hai aur apna
ai barhaman hamara tera hai ek 'alam
hum KHwab dekhte hain tu dekhta hai sapna
ye dhum-dham kaisi shauq-e-numud kaisa
bijli ko dil ki surat aata nahin taDapna
be-ishq ke jawani kaTni nahin munasib
kyunkar kahun ki achchha hai jeTh ka na tapna
- Book : ہنگامہ ہے کیوں برپا (Pg. 55)
- Author : اکبر الہ آبادی
- Publication : ریختہ بکس (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.