jo milte wo to itna puchhta main
jo milte vo to itnā pūchhtā maiñ
ki tum ho bevafā yā bevafā maiñ
ye hālat ho ga.ī marte hī mere
kabhī duniyā hī meñ goyā na thā maiñ
ḳhudā jaane vo samjhe yā na samjhe
ishāroñ meñ bahut kuchh kah gayā maiñ
musāfir ban ke āḳhir ye khulā raaz
huuñ manzil maiñ safar maiñ rahnumā maiñ
sar-e-manzil hamārā qāfila hai
kahāñ allāh jaane rah gayā maiñ
sunā hai mujh meñ ḳhud maujūd thā vo
ḳhabar hotī to ḳhud ko pūjtā maiñ
vo kahte haiñ ki ab baaqī rahā kyā
miTāyā tum ne dil ko dil meñ thā maiñ
zamāna DhūñDhtā hai mujh ko 'afsar'
ḳhudā jaane kahāñ kho gayā maiñ
jo milte wo to itna puchhta main
ki tum ho bewafa ya bewafa main
ye haalat ho gai marte hi mere
kabhi duniya hi mein goya na tha main
KHuda jaane wo samjhe ya na samjhe
ishaaron mein bahut kuchh kah gaya main
musafir ban ke aaKHir ye khula raaz
hun manzil main safar main rahnuma main
sar-e-manzil hamara qafila hai
kahan allah jaane rah gaya main
suna hai mujh mein KHud maujud tha wo
KHabar hoti to KHud ko pujta main
wo kahte hain ki ab baqi raha kya
miTaya tum ne dil ko dil mein tha main
zamana DhunDhta hai mujh ko 'afsar'
KHuda jaane kahan kho gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.