jo mere dil mein aah ho ke rahi
jo mire dil meñ aah ho ke rahī
vo nazar be-panāh ho ke rahī
maiñ huuñ aur tohmat-e-zabūnī-e-dil
be-gunāhī gunāh ho ke rahī
ḳhalish-e-dil pe kuchh bharosā thā
vo bhī terī nigāh ho ke rahī
dil kī ishrat-pasañdiyāñ tauba
har tamannā gunāh ho ke rahī
jo mere dil mein aah ho ke rahi
wo nazar be-panah ho ke rahi
main hun aur tohmat-e-zabuni-e-dil
be-gunahi gunah ho ke rahi
KHalish-e-dil pe kuchh bharosa tha
wo bhi teri nigah ho ke rahi
dil ki ishrat-pasandiyan tauba
har tamanna gunah ho ke rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.