jo mere dil mein hai logon se chhupaun kis tarah
jo mire dil meñ hai logoñ se chhupā.ūñ kis tarah
kāñch ke is shahr ko 'ḳhālid' bachā.ūñ kis tarah
tū to pahle se bhī ab ma.asūm hai mere liye
maiñ tirī 'izzat ko miTTī meñ milā.ūñ kis tarah
apnā paikar bhī mujhe zindāñ nazar aane lagā
kashmakash meñ huuñ rihā.ī ḳhud se pā.ūñ kis tarah
maiñ kisī ke adl kī TuuTī huī zanjīr huuñ
mujh pe jo biitī hai duniyā ko batā.ūñ kis tarah
dekh kis aks-e-muqābil jism patthar ho gayā
chhoḌ kar ab ā.ina-ḳhāne ko jā.ūñ kis tarah
jāgte lamhoñ kī zanjīroñ meñ huuñ jakḌā huā
ḳhvāb kī dīvār ke saa.e meñ aa.uuñ kis tarah
ratjagoñ ke shahr meñ jā kar use kyā ho gayā
vo to kahtā thā ki maiñ tujh ko bhulā.ūñ kis tarah
jo mere dil mein hai logon se chhupaun kis tarah
kanch ke is shahr ko 'KHalid' bachaun kis tarah
tu to pahle se bhi ab masum hai mere liye
main teri 'izzat ko miTTi mein milaun kis tarah
apna paikar bhi mujhe zindan nazar aane laga
kashmakash mein hun rihai KHud se paun kis tarah
main kisi ke adl ki TuTi hui zanjir hun
mujh pe jo biti hai duniya ko bataun kis tarah
dekh kis aks-e-muqabil jism patthar ho gaya
chhoD kar ab aaina-KHane ko jaun kis tarah
jagte lamhon ki zanjiron mein hun jakDa hua
KHwab ki diwar ke sae mein aaun kis tarah
ratjagon ke shahr mein ja kar use kya ho gaya
wo to kahta tha ki main tujh ko bhulaun kis tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.