jo meri pusht mein paiwast hai us tir ko dekh
jo mirī pusht meñ paivast hai us tiir ko dekh
kitnī ḳhush-rang nazar aatī hai tasvīr ko dekh
raqs kartā huā maqtal meñ chalā aayā huuñ
paañv mat dekh mire paañv kī zanjīr ko dekh
koī neza mire siine meñ alam hotā hai
mirī shah-rag pe chamaktī huī shamshīr ko dekh
ḳhud ko ījād maiñ kartā huuñ na.e tarz pe roz
ai mirī jaan kabhī tū mirī tā'mīr ko dekh
merī āñkhoñ meñ kisī ḳhvāb ne dam toḌ diyā
merī palkoñ se ulajhtī huī tā'bīr ko dekh
kyā hai duniyā ke ḳharābāt meñ vahshat ke sivā
mujh meñ ābād mire shahr-e-asātīr ko dekh
itnī ujlat thī ki maiñ ḳhud ko vahīñ chhoḌ aayā
kaun detā hai sadā kūcha-e-tāḳhīr ko dekh
mire alfāz kī duniyā kī kabhī sair to kar
ham se kuchh ḳhāk-nashīnoñ kī bhī jāgīr ko dekh
dekh 'shāhid' ko samajhnā koī āsān nahīñ
itnā dushvār nahīñ huuñ mirī tahrīr ko dekh
jo meri pusht mein paiwast hai us tir ko dekh
kitni KHush-rang nazar aati hai taswir ko dekh
raqs karta hua maqtal mein chala aaya hun
panw mat dekh mere panw ki zanjir ko dekh
koi neza mere sine mein alam hota hai
meri shah-rag pe chamakti hui shamshir ko dekh
KHud ko ijad main karta hun nae tarz pe roz
ai meri jaan kabhi tu meri ta'mir ko dekh
meri aankhon mein kisi KHwab ne dam toD diya
meri palkon se ulajhti hui ta'bir ko dekh
kya hai duniya ke KHarabaat mein wahshat ke siwa
mujh mein aabaad mere shahr-e-asatir ko dekh
itni ujlat thi ki main KHud ko wahin chhoD aaya
kaun deta hai sada kucha-e-taKHir ko dekh
mere alfaz ki duniya ki kabhi sair to kar
hum se kuchh KHak-nashinon ki bhi jagir ko dekh
dekh 'shahid' ko samajhna koi aasan nahin
itna dushwar nahin hun meri tahrir ko dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.