jo motariz khaDe hain meri is uDan par
jo mo'tariz khaḌe haiñ mirī is uḌaan par
shikva na un se hai na shikāyat zabān par
vo ham se phir milegā kisī āsmān par
ham haiñ ki jī rahe haiñ faqat is gumān par
pahuñchegā tiir merā ye apne nishān par
itnā yaqīn mujh ko hai apnī kamān par
taare mirī zamīñ pe jo saare utaar de
maiñ us ke sañg sañg uḌuuñ āsmān par
kab maiñ ne koī baat nirālī hai kī yahāñ
kyuuñ sab machal ga.e haiñ mire ik bayān par
mahshar na ho bapā to ho phir aur kyā batā
sab ko yaqīñ hai us kī ġhazab dāstān par
tum ne kahā ki maan tumheñ merī chaah par
dil tum ko de rahī huuñ tumhāre hī maan par
hālāñki ūñch-nīch se vāqif nahīñ magar
ham kar rahe ġhurūr haiñ urdu zabān par
jo mo'tariz khaDe hain meri is uDan par
shikwa na un se hai na shikayat zaban par
wo hum se phir milega kisi aasman par
hum hain ki ji rahe hain faqat is guman par
pahunchega tir mera ye apne nishan par
itna yaqin mujh ko hai apni kaman par
tare meri zamin pe jo sare utar de
main us ke sang sang uDun aasman par
kab main ne koi baat nirali hai ki yahan
kyun sab machal gae hain mere ek bayan par
mahshar na ho bapa to ho phir aur kya bata
sab ko yaqin hai us ki ghazab dastan par
tum ne kaha ki man tumhein meri chah par
dil tum ko de rahi hun tumhaare hi man par
haalanki unch-nich se waqif nahin magar
hum kar rahe ghurur hain urdu zaban par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.