jo mohabbat ko iKHtiyar kare
jo mohabbat ko iḳhtiyār kare
harf-e-matlab na āshkār kare
aadmī ko buland rahnā hai
pastiyoñ ko na iḳhtiyār kare
hai vo insān qadr ke qābil
ādamiyat ko jo shi.ār kare
ham to mar miT chuke haiñ jiite jī
maut kā kaun intizār kare
ham bhī rakhte haiñ pās-e-ḳhuddārī
kaun iz.hār-e-hāl-e-zār kare
chaak hai jis kā dāman-e-hastī
kyoñ garebāñ ko tār-tār kare
shauq hai jis ko ḳhaak hone kā
maz.hab-e-ishq iḳhtiyār kare
ham haiñ masrūf-e-dīd-e-mus.haf-e-ruḳh
kaun nazzāra-e-bahār kare
nabz Duubī marīz-e-ulfat kī
chāra-gar ḳhaak kyā shumār kare
jo mohabbat ko iKHtiyar kare
harf-e-matlab na aashkar kare
aadmi ko buland rahna hai
pastiyon ko na iKHtiyar kare
hai wo insan qadr ke qabil
aadamiyat ko jo shiar kare
hum to mar miT chuke hain jite ji
maut ka kaun intizar kare
hum bhi rakhte hain pas-e-KHuddari
kaun izhaar-e-haal-e-zar kare
chaak hai jis ka daman-e-hasti
kyon gareban ko tar-tar kare
shauq hai jis ko KHak hone ka
mazhab-e-ishq iKHtiyar kare
hum hain masruf-e-did-e-mushaf-e-ruKH
kaun nazzara-e-bahaar kare
nabz Dubi mariz-e-ulfat ki
chaara-gar KHak kya shumar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.