Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo muddaton mein kisi shoKH ka shabab aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

jo muddaton mein kisi shoKH ka shabab aaya

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

MORE BYMunshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

    jo muddatoñ meñ kisī shoḳh shabāb aayā

    rahīn-e-dāman-o-minnat-kash-e-hijāb aayā

    numūd-e-shām huī vaqt-e-iztirāb aayā

    jahān-e-ishq-o-mohabbat meñ inqalāb aayā

    junūñ meñ ziist thī apnī tilism-e-bedārī

    qazā ne aa ke sulāyā to ham ko ḳhvāb aayā

    na dil meñ dard baaqī hai ab na aañkh meñ ashk

    aḳhīr vaqt hai pāyān-e-iztirāb aayā

    bas ab tamām huā intizār qāsid

    ki zindagī taraf se hameñ javāb aayā

    ġhazab thī bazm meñ saaqī tarz-e-mastāna

    bharā huā na koī sāġhar-e-sharāb aayā

    nizām-e-ālam-e-furqat ḳhilāf-e-qudrat thā

    na māhtāb niklā na āftāb aayā

    'nazar' iqāmat-e-duniyā ḳhatm muddat hai

    ki ham bhī piir hue vaqt-e-pā-turāb aayā

    jo muddaton mein kisi shoKH ka shabab aaya

    rahin-e-daman-o-minnat-kash-e-hijab aaya

    numud-e-sham hui waqt-e-iztirab aaya

    jahan-e-ishq-o-mohabbat mein inqalab aaya

    junun mein zist thi apni tilism-e-bedari

    qaza ne aa ke sulaya to hum ko KHwab aaya

    na dil mein dard hi baqi hai ab na aankh mein ashk

    aKHir waqt hai payan-e-iztirab aaya

    bas ab tamam hua intizar qasid ka

    ki zindagi ki taraf se hamein jawab aaya

    ghazab thi bazm mein saqi ki tarz-e-mastana

    bhara hua na koi saghar-e-sharab aaya

    nizam-e-alam-e-furqat KHilaf-e-qudrat tha

    na mahtab hi nikla na aaftab aaya

    'nazar' iqamat-e-duniya ki KHatm muddat hai

    ki hum bhi pir hue waqt-e-pa-turab aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now