jo mujh mein chhupa mera gala ghonT raha hai
jo mujh meñ chhupā merā galā ghoñT rahā hai
yā vo koī iblīs hai yā merā ḳhudā hai
jab sar meñ nahīñ ishq to chehre pe chamak hai
ye naḳhl ḳhizāñ aa.ī to shādāb huā hai
kyā merā ziyāñ hai jo muqābil tire aa jā.ūñ
ye amr to ma.alūm ki tū mujh se baḌā hai
maiñ banda-o-nāchār ki sairāb na ho pā.ūñ
ai zāhir-o-maujūd mirā jism duā hai
haañ us ke ta.āqub se mire dil meñ hai inkār
vo shaḳhs kisī ko na milegā na milā hai
kyuuñ nūr-e-abad dil meñ guzar kar nahīñ paatā
siine kī siyāhī se nayā harf likhā hai
jo mujh mein chhupa mera gala ghonT raha hai
ya wo koi iblis hai ya mera KHuda hai
jab sar mein nahin ishq to chehre pe chamak hai
ye naKHl KHizan aai to shadab hua hai
kya mera ziyan hai jo muqabil tere aa jaun
ye amr to malum ki tu mujh se baDa hai
main banda-o-nachaar ki sairab na ho paun
ai zahir-o-maujud mera jism dua hai
han us ke taaqub se mere dil mein hai inkar
wo shaKHs kisi ko na milega na mila hai
kyun nur-e-abad dil mein guzar kar nahin pata
sine ki siyahi se naya harf likha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.