jo muKHtasar hai use be-hisab kar dena
jo muḳhtasar hai use be-hisāb kar denā
vo jāntā hai agan ko bhī aab kar denā
har ek ke liye mumkin nahīñ mohabbat meñ
kisī charāġh ko ik āftāb kar denā
mirī vo koshisheñ chehre pe 'ishq paḌhne kī
vo un kā 'ishq meñ chehra kitāb kar denā
kamāl ye nahīñ phūloñ ko ḳhaar kar deñ ham
kamāl hai koī kāñTā gulāb kar denā
maiñ un ke ġham meñ kabhī pī ke jhūmnā chāhūñ
mire ḳhudā mire aañsū sharāb kar denā
kabhī daġhā jo karūñ un se to mire maulā
mirī ye zindagī phir se 'azāb kar denā
jo muKHtasar hai use be-hisab kar dena
wo jaanta hai agan ko bhi aab kar dena
har ek ke liye mumkin nahin mohabbat mein
kisi charagh ko ek aaftab kar dena
meri wo koshishen chehre pe 'ishq paDhne ki
wo un ka 'ishq mein chehra kitab kar dena
kamal ye nahin phulon ko KHar kar den hum
kamal hai koi kanTa gulab kar dena
main un ke gham mein kabhi pi ke jhumna chahun
mere KHuda mere aansu sharab kar dena
kabhi dagha jo karun un se to mere maula
meri ye zindagi phir se 'azab kar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.